Showing posts with label Bhool Poetry. Show all posts
Showing posts with label Bhool Poetry. Show all posts

Wednesday, 8 October 2014

Barsoon baad mila

Barsoon baad mila our mera naam tak bhool gaya 
Bicharty wakt jis nay kaha tha tum bhohat yaad ao gay


Sunday, 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Friday, 1 August 2014

Tum paas nahi ho to ajab haal hay dill ka

Tum paas nahi ho to ajab haal hay dill ka
Yun jaisay may kuch rakh kar kahin bhool gai hon


Wednesday, 16 July 2014

Kabhi sath denay k waday

Kabhi sath denay k waday, kabhi bhool janay ki qasmain
Mujhay aj tak pata na chala K tu majboor hay ya maghror


Saturday, 12 July 2014

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka
Wahan say ajnabi ban kay guzar jana hi acha hay



Tuesday, 8 July 2014

Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template