Showing posts with label Anso Poetry. Show all posts
Showing posts with label Anso Poetry. Show all posts

Wednesday, 8 October 2014

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna 
Ansoo ko to aankh main bhi jagaa nahi milti


Sunday, 28 September 2014

Sirf chehray ki udaasi

Sirf chehray ki udaasi say nikal aye anso
Dill ka alam to abhi us nay deikha hi nahi tha


Thursday, 4 September 2014

Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Saturday, 9 August 2014

Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar

Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar
Kassam jis nay khai thi mujhay barbaad karnay ki


Sunday, 3 August 2014

Meri barbadi pay hasnay Walay
Aj do boond ansu baha lay
Uth chala hay Wafa ka janaza
Bewafa tu bhi kandha laga lay


 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template