Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts
Saturday, 28 November 2015
Saturday, 26 February 2011
Ejaaz Hai Kis Ka Ye - Allama Muhammed Iqbal
Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana
Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana
Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana
Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana
Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana
Tere nigah se dil senon main kaanpte the
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana
Raaz-e-haram se shayad “Iqbal” ba khabar hai
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana
Labels:
Allama Iqbal
Sunday, 30 January 2011
Monday, 24 January 2011
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hon By Allama Iqbal
Tere ishq ki inteha chahta hon
Mere saadgi dekh kya chahta hon
Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi baat sabar aazma chahta hon
Ye jannat Mubarak rahe zahidon ko
K main aap ka saamna chahta hon
Koi dam ka mehmaan hon, ay ehel-e-mehfil
Chiragh-e-sehar hon bhuja chahta hon
Bhari bazm main raaz ki baat kehdi
Bara beadab hon, saza chahta hon
Labels:
Allama Iqbal
Wednesday, 19 January 2011
Saaqi - Allama Iqbal
Saaqi
Nasha pila k girana to sab ko aata hai
Maza to jab hai k girton ko tham le saaqi
Jo baada kash the purine wo uth’te jaate hain
Kahin se aab-e-Baqaye dawam le saaqi
Kati hai raat to hangama gustari main teri
Sehar kareeb hai, Allah ka naam le saaqi
Labels:
Allama Iqbal
Sunday, 16 January 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)


