Showing posts with label Dr. Faryaad Aazar. Show all posts
Showing posts with label Dr. Faryaad Aazar. Show all posts

Wednesday, 2 February 2011

Idher Dua Ki Samanton - Ghazal By Dr. Faryaad Aazar


Idher dua ki sama’aton ka riwayati asmaan bhi chup
Idher sisakte hue labon ka barhana, tarz-e-bayaan bhi chup

Na jaane kin khuwahishon ki shiddat ka shor kamre main gonjta tha
Na jaane kya keh gaye hawa, hogaya khali makaan bhi chup

Naye ruton ne hawa ki ru se na jaane kya saaz baaz karli
K sabz sadiyun se goonjti arahi nida-e-azaan bhi chup

Kahin koi sar phiri nida parda samaat bhi noch dale
Magar kahin dasht-e-samaat se ehtajaji zubaan bhi chup

Pukarta tha panah le le koi bhi saye main mere “Aazar”
Thi dhoop aise hamare sar pe k hogaya sayebaan bhi chup

Para Tha Likhna Mujhay By Dr. Faryaad Aazar


Para tha likhna Mujhay Khud Hi “Marsia mera”
K mere baad bhala or kon tha mera

Ajeeb tour ki mujh ko saza sunaaye gaye
Badan k naize pe sar rakh dya gaya mera

Yehi k saans bhi lene na degi ab mujh ko
Ziada or bigare gi kya hawa mera

Main apni rooh lye darbar bhataka raha
Badan se door mukammal wajood tha mera

Mere safar ko to sadiyan guzar gayen lakin
Falak pe ab bhi hai qayam nishaan-e-Paa mera

Bas aik baar mila tha mujhay kahin “Aazar”
Bana gaya wo mujhi ko mujassama mera
 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template