Showing posts with label Takleef Poetry. Show all posts
Showing posts with label Takleef Poetry. Show all posts

Tuesday, 26 May 2015

Jo fursat milay

Jo fursat milay to chaand say mere dard ki kahani poch lena
Aik wohi to tha humraaz mera teray so janay k baad


Friday, 22 May 2015

Auron ki khatir

Auron ki khatir baddal gaye ho tum
Ab tum bhi mahsos karo gay badalna mera


Tuesday, 27 January 2015

Umer bhar chaltay rehay ankhon pay

Umer bhar chaltay rehay ankhon pay patti bandh kar
Zindagi ko dhondhnay main zindagi barbaad ki



Saturday, 24 January 2015

Thursday, 20 November 2014

Wednesday, 8 October 2014

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna 
Ansoo ko to aankh main bhi jagaa nahi milti


Saari zindagi rakha hay

Saari zindagi rakha hay Be-Faiz rishton ka barham
Sach pocho to koi bhi apnay siwa apna nahi hota


Kiun hota hay ye aitbaar ki dahleezon pay

Kiun hota hay ye aitbaar ki dahleezon pay aksar
Jo bhohat apnay hoon wohi apnay nahi rahtay



Barsoon baad mila

Barsoon baad mila our mera naam tak bhool gaya 
Bicharty wakt jis nay kaha tha tum bhohat yaad ao gay


Thursday, 2 October 2014

Us ki chahat kay do lamhay

Us ki chahat kay do lamhay jaan lewa thay
Pehla mohabbat ka iqrar dusra mohabbat say inkar


Sunday, 28 September 2014

Sirf chehray ki udaasi

Sirf chehray ki udaasi say nikal aye anso
Dill ka alam to abhi us nay deikha hi nahi tha


Friday, 19 September 2014

Ruswai kay dar say us nay ki na mohabbat

Ruswai kay dar say us nay ki na mohabbat hum say
Lkin sach to ye hy k us ki mohabbat nay bht mazbot kia hy humy


Thursday, 11 September 2014

Es trah phaila huwa kajal

Es trah phaila huwa kajal
Matlab... main ab bhi yaad ata hon



Thursday, 4 September 2014

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka
Aj hay sirf dard us ko khonay ka
Hum dono ka nahi tha qasoor es main
Taqdeer ka faisla tha juda honay ka


Aaj bhi bhohat sawal hain

Aaj bhi bhohat sawal hain es dil main
Piyar ka gham bayzubaan hay es dil main
Kuch kah nahi paata yeh dil magar
Us dil kay liye aj bhi piyar hay es dil main



Friday, 22 August 2014

Jane kiya waqiya honay ko hay

Jane kiya waqiya honay ko hay
Ronay ko bhohat dill chah raha hay



Friday, 15 August 2014

Baithay hain rahguzar pay

Baithay hain rahguzar pay dill ka diya jalaye 
Shaid wo dard samjhay shaid wo loat aye 


Tuesday, 8 July 2014

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya
Jab bhi khayal aya khud ko tanha paya
Dhondtay rehay hum es dunia main dost
Kisi ko ajnabi to kisi ko baywaffa paya


Sunday, 6 July 2014

Bas ik la-hasil si hogai hay zindagi

Bas ik la-hasil si hogai hay zindagi
Safar bhi rooz ka hay or jana bhi kahin nahi



 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template