Wednesday 15 January 2014

Bhalay Dino Ki Baat Hai, Bhali Si Ek Shakal Thi

bhalay dinon ki baat hai, bhali si ek shakl thi, na ye ke husn taam ho, na dekhne mai aam si,
na ye ke wo chale to kehkashan si raah guzar lage,
magar wo saath ho to phr, bhala bhala safar lage,
koi bhi rut ho uski jab, fiza ka rung roop thi,
wo garmiyon ki chaon thi, wo sardiyon ki dhoop thi,
na aisi khush’libaasiyan ke saadgi gila kare,
na itni be-takallufi ke aaina haya kare,
na aashiqi junoon ki ke zindagi azaab ho,
na is qadar kathor’pan ke dosti kharab ho,
so ek roz kya huwa, wafa pe behes chidd gayi,
mai ishq ko amar kahun, wo meri zidd se chidd gayi,
wo ishq ka aseer tha, wo ishq ko kafas kahe,
ke tamam umar k saath ko, bad’tar azhawis kahe,
hijar shajar nahi hai ke hamesha paa’bagul rahe,
na dhol hai ke rasiyan, gale mai mustaqil rahen,
muhabbaton ki wus’aten, hamare dast’o'pa mai hain,
waseeq darse nisbaten sajan be-wafa mai hain,
tumhari soch jo bhi ho, mai is mizaaj ki nahi,
mujhe wafa se bair hai, ye baat aaj ki nahi,
na us ko mujh pe maan tha, na mujhko us pe zaum tha,
jo ahed hi koi na ho, to kya ghum-e-shikastagi,
so apna apna rasta, hansi khushi badal liya,
wo apni raah chal padi, mai apni raah chal padha….

0 comments:

Post a Comment

 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template