Wednesday 15 January 2014

Ajab sa rabt hai hum mai

Ajab sa rabt hai hum main, na ek doojay ko dekha hai,
Na ek doojay ki awazoo main, ek doojay ko dhoonda hai,
Tumhain jo kuch kaha maine isay tum sach samajhti ho,
Mujhe jo kuch kaha tum nay isay main sach samajhta hon,
Isi ek chat window main,
Hum ek doojay k jeevan k her ek mausam main rehte hain,
Ajab sa rabt hai hum main, ajab se yeh mohabbat hai,
Jisay tasveer aur awazoo se kuch nahi laina,
Jisay khuwahis nahi koi……………..
Kisi ko roobaro dekhain, kisi awaz ko pojay,
Mohabbat ki shabahat ko, kisi anmol saet ko,
Kisi k aks main dhoonday…………
Ajab se yeh mohabbat hai………!
K jis main lafz kehte hain aur akhein kuch nahi kehte,
Yeh lafzoo se behalti hai yeh in main sans laite hai,
Yeh in bejan tasveeron main kitne rang bharti hai,
Ajab sa rabt hai hum main, ajab se yeh mohabbat hai,
Jisay awaz aur tasveer se kuch bhi nahi laina,
K jo palko pe cahat k hazaron khuwab likhti hai,
Tumharay aur meray darmiyan jo sans laite hai,
Ajab se yeh mohabbat hai…………………………..!!!

Bhalay Dino Ki Baat Hai, Bhali Si Ek Shakal Thi

bhalay dinon ki baat hai, bhali si ek shakl thi, na ye ke husn taam ho, na dekhne mai aam si,
na ye ke wo chale to kehkashan si raah guzar lage,
magar wo saath ho to phr, bhala bhala safar lage,
koi bhi rut ho uski jab, fiza ka rung roop thi,
wo garmiyon ki chaon thi, wo sardiyon ki dhoop thi,
na aisi khush’libaasiyan ke saadgi gila kare,
na itni be-takallufi ke aaina haya kare,
na aashiqi junoon ki ke zindagi azaab ho,
na is qadar kathor’pan ke dosti kharab ho,
so ek roz kya huwa, wafa pe behes chidd gayi,
mai ishq ko amar kahun, wo meri zidd se chidd gayi,
wo ishq ka aseer tha, wo ishq ko kafas kahe,
ke tamam umar k saath ko, bad’tar azhawis kahe,
hijar shajar nahi hai ke hamesha paa’bagul rahe,
na dhol hai ke rasiyan, gale mai mustaqil rahen,
muhabbaton ki wus’aten, hamare dast’o'pa mai hain,
waseeq darse nisbaten sajan be-wafa mai hain,
tumhari soch jo bhi ho, mai is mizaaj ki nahi,
mujhe wafa se bair hai, ye baat aaj ki nahi,
na us ko mujh pe maan tha, na mujhko us pe zaum tha,
jo ahed hi koi na ho, to kya ghum-e-shikastagi,
so apna apna rasta, hansi khushi badal liya,
wo apni raah chal padi, mai apni raah chal padha….

Wo kehti hai udaasi tarq kar do ab

wo kehti hai udaasi tark kar do ab, sitaare jo saja rakhe hain palkon per,
wujood unka mitta daalo,
puraane dard hon saare,
daroon-e-jan jinhe mehsoos karte ho,
tadapte ho, bhula do sab,
wo toote khuwaab saare, jo tumhe har pal satate hain,
jinhe taqdeer kehte ho, jala do ab,
ghumon se tod k nata likho phir geet khushiyon ke,
bahaaron ke, milaao apne kehkahe fizaaon mai,
mai sunta hun sab hi uski kahi baaten,
magar khamosh rehta hun,
kahun bhi to bhala kaise kahun us se
phool-e-dil ke aangan mai saje hain jo gulon mai dhal to sakte hain
ye aansu na-muraadi ke hansi ki orh ke chaadar labon par khil to sakte hain,
badal to sakta hai rung-e-maatam-e-maazi,
magar ye tab hi mumkin hai,
agar haathon mai mere haath ho tera,
muyassar saath ho tera,
wo kehti hai udaasi tark kar do ab,
Udaasi Tark Kardo Ab…!!!!

Kahaa Tha Naa……

Kaha Tha Na..!
Meri Khamoshiyoon Ko Tum
Koi Maani Nahi Dena
Judaai Ki Sabhi Batein Meri Aankhoon Me Parh Lena
Meri Is Muskurahat Me
Ager Mehsoos Ker Paao
To Mere Anso’oon Ki Tum Nami Mehsoos Ker Lena
Meri Sochein
Mere Alfaaz Ka Roop Leti Hein
Tumhara Aks Banta Hai
Meri Neendoon Me Jab Jab Ratjagoon K Deep Jaltey Hein
Tumhara Zikr Chalta Hai
Tumhari Yaad Maazi K Darichey Khol Deti Hai
Tumhari Shabnami Aahat Yeh Mujh Se Bol Deti Hai
Kaha Tha Na !
Humarey Darmiyaan Yeh Fasley Qismat Me Likhey Hein
Or Is Qismat Key Likhey Ko
Badal Tum Bhe Nahi Sakti, Badal Mein Bhe Nahi Sakta
Mager Mushkil Yehi Hai Hirj K Purpaich Rastoon Pr
Sanbhal Tum Bhe Nahi Saktein, Sanbhal Me Bhe Nahi Sakta
To Behtar Hai K Hum Ik Dosrey Ki Yaad Key Humraah Ho Jayein
K Ab K Is Muhabbat Se
Nikal Tum Bhe Nahi Sakti, Nikal Me Bhe Nahi Sakta
Suno Jana !
Tumhari Shabnami Aahat Mre Ander Dharakti Hai
Mager Jab Kaamshi Se Tum Koi Maani Leti
To Yeh Dil Rooth Jata Hai
Mere Ander Kahi Pr Kuch
Achanak Toot Jata Hai…!!!

Wo kehti hai sunoo jana

wo kehti hai suno jana,
muhabbat mom ka ghar hai,
tapish ye bad-gumaani ke, kahin pighla na de is ko,
mai kehta hun k jis dil mai, zara bhi bad-gumaani ho,
wahan kuch aur ho to ho, muhabbat ho nahi sakti,
wo kehti hai sada aise hi kya tum mujhko chaho ge,
ke mai is mai kami bilkul gawara kar nahi sakti,
mai kehta hun muhabbat kya hai, ye tum ne sikhaya hai,
mujhe tumse muhabbat ke siwa kuch bhi nahi aata,
wo kehti hai judai se bht darta hai mera dil,
ke khud ko tum se hatt kar dekhna mumkin nahi hai ab,
mai kehta hun yehi khad’she bohut mujh ko satate hain, magar sach hai muhabbat mai judai saath chalti hai,
wo kehti hai batao kya mere bin jee sako ge tum,
meri baaten, meri yaaden, meri aankhen bhula do ge,
mai kehta hun kabhi is baat ko socha nahi maine,
agar ek pal ko bhi jo sochun, to saansen rukne lagti hain,
wo kehti hai tumhe mujh se muhabbat is qadar kyun hai, ke mai ek aam si ladki tumhe kyun khaas lagti hun,
mai kehta hun kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho, meri dewaangi kyun hai, ye khud hi jaan jao gi,
wo kehti hai mujhe waraft’gi se dekhte kyun ho,
ke mai khud ko bohut hi keemti mehsoos karti hun,
mai kehta hun mata’ae jaan bht anmol hoti hai,
tumhe jab dekhta hun, zindagi mehsoos karta hun,
wo kehti hai mujhe alfaz ke jugnoo nahi milte, tumhe bat’la sakun dil mai kitni muhabbat hai,
mai kehta hun muhabbat to nigahon se chalakti hai,
tumhari khamoshi mujhse, tumhari baat karti hai,
wo kehti hai ke batao na, kisse khone se darrte ho, batao kon hai wo jis ko ye mausam bulaate hain,
mai kehta hun ye meri shayri hai aaina dil ka,
zara dekho batao kya tumhe is mai nazar aaya,
wo kehti hai ke atif jee, bohut baaten banate ho,
magar sach hai ke ye baaten bohut hi shaad rakhti hain,
mai kehta hun ye sab baaten, fasaane ek bahana hai, ke pal kuch zindagani ke, tumhare sath kat jayen,
phir us ke baad khamoshi ka dil’kash raqs hota hai,
nigaahen bolti hain aur lab khamosh rehte hain.

Mujh ko baaten kab aati hain

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Kasoor Nahi Is Mai Kuch Bhi Inka FARAZ, ,


Kasoor Nahi Is Mai Kuch Bhi Inka FARAZ, ,
Hamari Chahat Hi Itni Thi Ke Unhe garoor Ho Gaya, , , , ,

Hum to Aaghaz-e-Muhabat mein he lutt gaye "Faraz".......

Hum to Aaghaz-e-Muhabat mein he lutt gaye "Faraz".......
Loag kehte hain k mohbbat ka anjam bura hota hai.........!!

Faqt Hum Hi Betaab Nahi Hain Dard-e-judai ki kasam...

Faqt Hum Hi Betaab Nahi Hain Dard-e-judai ki kasam...
faraz
kabi To Wo Bi Roye Ga Tanhai Mai Humein yaad kar k...!!
j

Ksi k dard ka kab kisi ko eahsas hota hai.

Ksi k dard ka kab kisi ko eahsas hota hai.
''FARAZ''
Phool bhi muskura dete hain shabnam ko roota dekh kar.

Na Jane Kiyun Aaj Bohut Udaas Hai Humara ,DIL,r

Na Jane Kiyun Aaj Bohut Udaas Hai Humara ,DIL,
" faraz "
Lagta Hai Humein Bhool Jaane Ka irada Hai Kisi Ka...

Kabhi jo raahat_e_jaan tha use bhula bhi dia

Kabhi jo raahat_e_jaan tha use bhula bhi dia
Agrcha dil ne hamen tanaa_e_wafa bhi dia,

Nahin k hamsafron k liye bany diwaar
Jo barq_paa thay unhen ham ne raasta bhi dia,

Magr Khuda ki sabhi bakhshishen anokhi hain
Wafa k sath hamen yaar_e_bewafa bhi dia,

Main but bana Usey dekhey giya to us ne kaha
Guzr chuki ha bohat raat ab bujha bhi diya

FARAZ jis ne dilon ko udasiya'n bakhsheen,
Usi ne zakhm chhupaany ka hosla bhi dia.

Umer Iss Tarha Meri Ishq Main Guzri WASI, ,

Umer Iss Tarha Meri Ishq Main Guzri WASI, ,
jaise Pardais Mai Tehwaar Guzar Jata Hai, , , , ,

Woh Sach Kehta Tha K Usay Meri Muskarahat Se Pyar Hai

Woh Sach Kehta Tha K Usay Meri Muskarahat Se Pyar Hai
Wasi"
Isi Leye Jate Jate Woh Meri Muskaraht B Le Gaya

Us ne pOcha mere bager jee lO ge..

Us ne pOcha mere bager jee lO ge..
"Wasi"
RoOh parwaz kar chuki thi aur woh smjhe hm soch rahe hain

"MILNA"Hr Adawt Pe Muhabat Ko Sja Kr Milna

"MILNA"
Hr Adawt Pe Muhabat Ko Sja Kr Milna
Rasm-e-Duniya Hy Hqiqat Ko Chupa Kr Milna
JisKa Kirdar Sitaron Ki Tarah Roshan Ho
Kitna Dushwar Hai Us Shakhs Ko Ja Kar Milna
Tum Muhabbat Ko Bhi Fareb Samajhte Ho
"WASI"
Meri to Aadat Hy Nigahon Ko Jhuka Kar Milna...!!

HUM ne be ek aise shakhs ko toot kar chaha hy..!

HUM ne be ek aise shakhs ko toot kar chaha hy..!
''Wassi,,,
Jin ko bhulana hamary bas men nhe Or paana hamari qismat me nhe...

Kisi Ki Majburiyon Ko Agar Tum Us Ki Bewafai Samjho Gay,,,

Kisi Ki Majburiyon Ko Agar Tum Us Ki Bewafai Samjho Gay,,,
"WASI"
To Zindagi Mein Kabhi Kisi Ka Piyar Na Pa Sako Gay.....!

Agar mai hadh se guzar jaon to mujhe maaf kar dena

Agar mai hadh se guzar jaon to mujhe maaf kar dena,
Tere dil mai utar jaon to mujhe maaf kardena,
Yunhi guse mai aa kar daant dena to meri aadat hai,
Agar mai aisa kar jaon to mujhe maaf kardena,
Raste mai tujhe dekh kar teri deed ki khatir,
Pal bhar jo theher jaon to mujhe maaf kardena,
Apne jazbaat se likhi hui ye shokh tehreer,
Tere naam kar jaon to mujhe maaf kardena,
Teri pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti,
Tere bin jo mai mar jaon to mujhe maaf kardena,,,

Tuesday 14 January 2014

Hum ko kuch yaden satati hain shab_o_roz Warna!

Hum ko kuch yaden satati hain shab_o_roz
Warna!
Hum b tumhari tarha pursukoon so jate...

Hamary Sath Beety Lamhon Ki Yaaden Sambhal K Rakhna...

Hamary Sath Beety Lamhon Ki Yaaden Sambhal K Rakhna...
(*AY DOST*)
Phir Hum Yaad to Aye Gay Par Loat K Kbhi Nhi Aye Gay.

Sath To Ik Pal Ka Tha Phir Q Mujhe Yaad Aaty Ho Tum?

Sath To Ik Pal Ka Tha Phir Q Mujhe Yaad Aaty Ho Tum?
Aks Ki Traha Mere Dil Pe Q Chha Jaty Ho Tum.
Dilbar B Nahi Ho Mere, Humadam B Nahi.
Ye Raasty Pyar K Mujhe Phir Q Dikha Jaty Ho Tum?
Hum Kabhi Milly Thy To Ik Ajnabi Ki Traha.
Meri Raaton Ki Neend phir Q Urra Jaty Ho Tum?
Hawaon Se Hum Tumhara Pata Poochhty Rahy.
Kuch Esi Traha Se Apna DeWanA Bana Jate Ho Tum.
Saath To Ik Pal Ka Tha Phir Q Mujhe Yaad Aaty Ho Tum....

Chahat hai mout ki jo pas nahi ati

Chahat hai mout ki jo pas nahi ati
Tamana hai jis khushi ki wo ras nahi ati
Udas ho gai hai zindagi rote rote
ek us ki yad hai jo tarpane se baz nahi ati...?

Kabhi yaad kar lia karo is nachiz ko .

Kabhi yaad kar lia karo is nachiz ko .
"Yaro"
Ye Shakhs bura hi sahi magar abhi zinda to hai...

Meri Ankhon Se unki Yaad Ka Saya Nhi Jata

Meri Ankhon Se unki Yaad Ka Saya Nhi Jata
Mene Man Liya unko Bhulaya Nhi Jata

Ek Mudat Se jo Naam Likha He Dil Pr
Me kya krO wo mujhse mitaya Nhi jata

Kabi "SOCHA" Na Tha Ke Aisa Bi Din AyeGa

Kabi "SOCHA" Na Tha Ke Aisa Bi Din AyeGa
Ek Pyara Sa "SATHI"
Humen Bhol JayeGa
Hum"UDAS" HonGe UsKo"YAAD"Kr Ke
Or wo Humen
"YAAD" Krna bhi Bhol JayeGa.

Dil ke koñe se ek äwäz äti häi, Read more: http://bewafalarka.

Dil ke koñe se ek äwäz äti häi,
Häme här päl tùmarì yääd äti häi,
Dil puchtä hä bär-bär humse,

Jiñhe hum ètñä yäd kärte häì
kyä uñhe b hämäri yäd äti häi..

Tu Muje yaad Nahi Karta To kya Howa, Read more: http://bewafalarka.

Tu Muje yaad Nahi Karta To kya Howa,

Kya Itni Si Baat Pe Tuje Chahna Chor Doon?

Aaj us ki yaad nay hamain tarpaya bohat,

Aaj us ki yaad nay hamain tarpaya bohat,
Aaj na chahtay huay bhi wo yaad aya bohat,
Us ke baad to jaisay tanhaiyon say dosti ho gai,
Phir kyun tanhayion ne aaj darayia bohat,
Wo mera tha?
Mera hai!
Mera rahe ga?
Yah soch k dil ko behlaya bohat,
Shama k jalny pay afsoos karain kyun,
Hum ne bhi sire-e-sham khud ko jalaya bohat,
Hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha..!
Na jane kyun wo humary dard pe muskuraya bohat...?

Woh shakhs nazar aaiy kbhi to usay faqat itna kehna.

Woh shakhs nazar aaiy kbhi to usay faqat itna kehna.
jin ko aadi kar diya hai apna Woh log bohat yaad kartay hain

Mat Kr KoShisH MeRe DiL Se Apni YaadoN Ko MitaNe Ki...

Mat Kr KoShisH MeRe DiL Se Apni YaadoN Ko MitaNe Ki...
HaMaRa UsOoL Nhi Kisi Ko dil mei basa Kar BhOoL Jana...

Kon puchta hai Pinjry mein band in Panchiyo ko... Kon puchta hai Pinjry mein band in Panchiyo ko... Yaad wo hi aaty hein jo urr jaate hain...!!!

Kon puchta hai Pinjry mein band in Panchiyo ko...
Yaad wo hi aaty hein jo urr jaate hain...!!!

Koi Karta Nahi Yad Jab Tak Main Khud Na Karon Yaad,,

Koi Karta Nahi Yad Jab Tak Main Khud Na Karon Yaad,,
Aesi Halat Mein,
Main Kaisay Kahon K Mery Chahnay Waly Bohat Hain..

Humain kon yad karay ga is bhari dunya may

Humain kon yad karay ga is bhari dunya may
Bina matlb k to ye log tujhy Bhi yad nahi krty...

MoHaBBat Ki TabiYat Main QuDrat NeY AjaB Bachpana Sa raKha Hai....;

MoHaBBat Ki TabiYat Main QuDrat NeY AjaB Bachpana Sa raKha Hai....;
DOST
K Ye Jitna Bhi Purana Ho IsaY IzHar KrnY Ki ZrUrat rOz ParTi Hai;

Gum Sum Sa Ye Din Khob Guzra Pata Hi Na Chala, ,

Gum Sum Sa Ye Din Khob Guzra Pata Hi Na Chala, ,
Bus Khoye Thai Kisi Ke Khayalon Mai Ke Aaj Phir Shaam Ho Gayi, , ,

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati, ,

Ankhon Se Meri Isliye Lali Nahi Jati, ,
Yadon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati, ,
Tu Mangay To Ye Jan Bhi Hans Kar Tujhe Donga, ,
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahi Jati, ,
Hamrah Tere Phool Jo Khilati Thi Dil Main, ,
AB Shaam Wohi Dard Se Khali Nahi Jati, ,
Hai Koi Jo Aa Kar Ye Tere Dard Sanbhale, ,
Mujhse To Ye Jageer Sanbhali Nahi Jati, ,
Main Jan Se Jaonga Tabhi Baat Banegi, ,
Tum Se To Koi Raah Nikali Nahi Jati, , , , ,

Zindagi ki rahon men ham ne sham kardi,

Zindagi ki rahon men ham ne sham kardi,
Dil ki her gali tere naam kardi.
Itna b na socha kesay ktay gi zindagi,
Bas bina sochay her sans tere naam kardi..

Sham K Surmai Andheron Me,Youn Teri Yad Sath Chalti He,

Sham K Surmai Andheron Me,
Youn Teri Yad Sath Chalti He,
Jese Parbat K Sabz Perron Per,
Barf K Baad Dhoop Parti Hai,
Jese Sehra Ki Rait Urr Urr Kar,
Ajnabi Ka Tawaf Karti Hai,
Aah Bharta Hon Ashk Peeta Hoon,
Roz Marta Hoon Phir B Jeeta Hoon,
Kitni Masoom Aarzuon Ko Kis Tarah Log Torr Jatey Hain,
Jese Dam Torrty Musafir Ko,
Qafly Waly Chor Jate Hain,
Sham K Surmai Andheron Mai,
Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai..!!

Fiza Mein Mehkti Sham Ho Tum.

Fiza Mein Mehkti Sham Ho Tum.
Pyar Mein Chalakta Jaam Ho Tum.
Tumhen Dil Mein Chupaye Phirte Hain.
A Dost
Meri Zindagi Ka Dosra Naam Ho Tum..

Ajeeb C Lgti Hy Shaam Kabi Kabi

Ajeeb C Lgti Hy Shaam Kabi Kabi
Zindgi Lgti Hy Be Jaan Kabi Kabi

Samaj Aaye Kabi To Hamen B Btana
Q Krti Hen Teri Yaden Pareshan Kabi Kabi.

Dopehr tk Bikk Gya Bazaar ka Hr Ek jhoot...

Dopehr tk Bikk Gya Bazaar ka Hr Ek jhoot...
0r Main ek Sacha Pyar le kr Shaam tk Baitha Rha.

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo

Yunhi Besabab Na Phera Karo Koi Sham Ghar Bhi Ruka Karo
 Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai Usay Chupke Chupke Parha Karo

Koi Hath Bhi Na Milayega Jo Gale Milogay Tapak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Sheher Hai Zara Faisle Se Mila Karo

Abhi Raah Mai Kayi Morr Hain Koi AYega Koi Jayega
Tumhe Jis Kisi Ne Bhula Diya Usay Bholne Ki Dua Karo

Mujhe Ishtehaar Si Lagti Hain Ye Muhabbaton Ki Kahaniyan
Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo Jo Suna Nahi WO Kaha Karo

Kabhi Husn-e-Parda Nasheen Bhi Ho Zara Ashiqana Libas Mai
Jo Ban Sawar Ke Kabhi Chalo Mere Sath Tum Bhi Chala Karo

Nahi Be Hijaab WO Chand Sa Ke Nazar Ka Koi Asar Na Ho
 Usay Itni Garmi Shok Se Bari Dair Tak Nahi Takka Karo. . . .

Yeh dil Udaas Hy BohatKoi Peghaam Hi Likh Do,

Yeh dil Udaas Hy Bohat
Koi Peghaam Hi Likh Do,
Tum Apna Naam Na Likho
Gumnam Hi Likh Do,!

Meri Qismat Mein Gham_E_Tanhai Hai Mgr,!
Tamaam Umar Na Likho
Ek Shaam Hi Likh Do,!

Yeh Janta Hoon K Umar Bhar Tanha Mujh Ko Rehna Hai,!
Pal do Pal
Ghari do Ghari
Mera Naam Hi Likh Do,!

Chalo Hum Maan Letey Hain
Keh Saza K Mustahiq Thehrey,!
Koi Inaam Na likho
Koi Ilzaam Hi Likh Do,,,

Teri Wafa Ki Khatir Badnaam Kia Tery Sheher K Logon Ny Is Qadar

Teri Wafa Ki Khatir Badnaam Kia Tery Sheher K Logon Ny Is Qadar

Ek Teri Qaddar Na Hoti To Tera Sheher Hi Jala Dety...

Nafrat Karni HoTo Hum Se is Qadar Karna,

Nafrat Karni Ho
To Hum Se is Qadar Karna,
K Hum Dunya se Chaly Jaye OR Tumhari Aankh me 1 AansoO Tak Na Aaye.....

Bol do dil ki bat hum tera raaz rakheinge,

Bol do dil ki bat hum tera raaz rakheinge,
Keh do aaj har ik baat hum tera raaz rakheinge,

Tum ko hum se chahat he ya nafrat kiya pata,
Kardo apne jazbat ka izhar hum tera raaz rakheinge,

Mat samajhna k tum ko ruswa kareinge zamane mein,
Qasam he hum ko teri yar hum tera raaz rakheinge,

Mat ghabrao zamane ki uljanon se
Bataa do aaj har ik raaz hum tera raaz rakheinge,

Dil Ne Gham K Pahaar Ko Dekha,

Dil Ne Gham K Pahaar Ko Dekha,
Main Ne Khud Mein Daraar Ko Dekha.

Dasht Kehta Hai Mujh Se Hairat Se,
Main Ne Tujh Mein Ujaar Ko Dekha.

Khauf Aasaib Ban K Aa Betha,
Dil Ne Khud Ro Se Jhaar Ko Dekha.

Ban Gaya Hai Khala Mere Andar,
Main Ne Apni Pichaar Ko Dekha.

Main Khudi Se Nikal Gaya Bahir,
Jo'n Hi Nafrat Ki Aar Ko Dekha.

Naqsh Chehray K Dhul Gaye
Jab Bhi Dil Main Bigaar Ko Dekha..

Wo B Dil Se Krti Hey Mein B Dil Se Karta hun..

Wo B Dil Se Krti Hey Mein B Dil Se Karta hun..!!

Wo Nafrat Mujh Se,,,,
Mein Mohabbat Us Se...

Dekh Kar Jissay Dil Ko Qaraar Aaye Ga,

Dekh Kar Jissay Dil Ko Qaraar Aaye Ga,
Lout Kar Kabhi To Mera Wo Yaar Aaye Ga,

Wo Mujhy Bhool Bhi Gaya Hai To Koi Baat Nahi,
Magar Khayaal Us Ko Mera Bar Bar Aaye Ga,

Main Janta Hon Us K DiL Mein Mery Liye Nafrat Hai Magar,
Ek Din Wo Mery Paas Ho K Sharam_Saar Aaye Ga,

Wo Bhi Ro De Ga Meri Halat Dekh Kar,
Mohabbat Pe Meri Phir Us Ko Aitbaar Aaye Ga,

Kehta Phiry Ga Wo Logon Se Bohat Acha Tha Mera Yaar,
Jab Mayyat Pe Meri Wo Ho K Ashk_Baar Aaye Ga,

Kitni Zarkhaiz Hai Nafrat K Liye Dil Ki Zameen

Kitni Zarkhaiz Hai Nafrat K Liye Dil Ki Zameen

Waqt Lagta Hi Nahi Fassal Ki Tayyari Mein

Uljhey To Talkhion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey.

Uljhey To Talkhion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey.
Tootay To Kirchion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey.

Nafrat Hui Kisi Se To Be-Inteha Hui..
Chaha To Chahton Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey.

Hum Ne KHUDA se kuch Bhi Na Maanga Magar Usay,
Maanga To Siskion Ki Bhi Hadd Se Guzar Gaey.

 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template