Friday 10 January 2014

Jhonka Hawa Ka Aaj bhi

- Aansoo Shayri -

Meri bohat se uljhi bikhri cheezon mein

♥♥♥
Meri bohat se uljhi bikhri cheezon mein
Mohabbat yahin kahin thi kho gai hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai
khilona hai jo mitti ka fana hone se darta hai
mere dil ke kisi kone mein ek massom sa baccha
badon ki dekhkar duniya bada hone se darta hai
na bus mein zindagi iske na kaboo maut par iska
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai
ajab ye zindagi ki kaid hai, duniya ka har insaan
rihaai mangta hai aur riha hone se darta hai <3

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena


Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena,
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena,
Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hia Ke Nafrat Uski,
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena,
Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin,
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena,
Khat Bhi Likhna Use Mayoos Bhi Rehna Usse,
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena,
Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin,
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena,
Us se mansoob bhi kar lena puraane kissw,
Uske baalon mai naya phool saja bhi dena,
Surat-E-Naqshe Qadam Me Rehna Mohsin,
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena…

Teri Yaad Hai Andhere Mein Ujalay Ki Tarah


Teri Yaad Hai Andhere Mein Ujalay Ki Tarah
Kisi Haseena Ke Bikhray Howay Baalon Ki Tarah
Ghabra Jata Hun Jub Bhe Chup Rahon Isi Lye
Mein Bolta Rehta Hun Duniya Waalon Ki Tarah
Apne Hissay Ke Dukh Bunti Rehti Hai Zindagi
Band Kamray Mein Lagay Howay Jaalon Ki Tarah
Wo Mujhe Har Haal Mein Apnaana Chahti Thi
Magar Raddi Mein Biktay Howay Risaalon Ki Tarah
Tanhaayian Chup Chaap Dabooti Raheen Aur Mein
Shor Machata Reh Gaya Nadi Naalon Ki Tarah
Ek Chehra Sadaa Mere Saath Raha….
Kubhi Lamhay Ki Tarah Kubhi Saalon Ki Tarah….!

Boht rulaengi YADEEN mat chaho kisi ko itna

Boht rulaengi YADEEN mat chaho kisi ko itna,”
“K her kisi ko payaar ki manzil nahi milti…!!!
(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Wafayen Kar Ke Kuch Nahi Milega Log Bhool Jaaty Hain


Wafayen Kar Ke Kuch Nahi Milega Log Bhool Jaaty Hain,
Karni Hai To Bas Bewafai Karo Sadaa Yaad Raho Gy…!!
(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

wohi huwa na, bicharne pe baat aa pohnchi


wohi huwa na, bicharne pe baat aa pohnchi
tujhy kaha tha, puraane hisaab rehne de…..
(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

mujhko sataye koi to us ko bura lage


guzre dinon ki yad barsati ghata lage
guzrun jo us gali se to thandi hawa lage
mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage
main is liye manata nahin wasl ki khushi
mere raqib ki na mujhe baddua lage
wo qahat dosti ka para hai k in dinon
jo muskura k bat kare ashna lage
tark-e-wafa k bad ye us ki ada ‘Qateel’
mujhko sataye koi to us ko bura lage

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Meri zindagi mein fakaqt do hi kaam,na mumkin rahe

jhonka hawa ka aaj bhi zulfein udaata hoga na
Even today, a gust of wind surely lifts the locks of your hair.
tera dupatta aaj bhi tere sar se sarakta hoga na
Today as well, your scarf must still be slipping from your head.
baalon mein tere aaj bhi phuul koi sajta hoga na
Even today, your hair must still be adorned with flowers.
thandhi hawaayein raaton mein thapkiyaan deti hogi na
At night, cool breezes must still give you a chill.
chaand ki thandhak khwaabon mein tujhko leke to jaati hogi na
The moon’s coolness must still take you away into dreams.
suuraj ki kirnein subah ko teri nee.ndein udaati hogi na
Sunbeams must still wake you in the morning.
mere khayaalon mein sanam khud se hi baatein karti hogi na
I’m sure you must still talk to yourself.
main dekhta huun chup chupke tumko mahasuus karti hogi na
I watch you from a distance; surely you must sense it.
jhonka hawa ka aaj bhi zulfein udaata hoga na
Even today, a gust of wind must lift the locks of your hair.
kaagaz pe meri tasvir jaisi kuchh to banaati hogi na
You must still draw something like my image on paper.
ulat palatke dekhke usko ji bharke hansti hogi na
Turning it over and looking at it to your heart’s content, you must still laugh.
hanste hanste aankhein tumhaari bhar bhar aati hogi na
Even as you laugh, your eyes must still fill with tears.
mujhko dhaka tha dhuup mein jis se woh aanchal bhigoti hogi na
That sari hem which covered me in the sunlight must be drenched. (?)
saawan ki rimjhim mera taraana yaad dilaati hogi na
The patter of rain must still remind you of my song.
ik ik meri baatein tumko yaad to aati hogi na
You surely must still remember every one of the things I said to you.
yaad to aati hogi na…
You surely must remember.
kya tum mere in sab sawaalon ka kuchh to jawaab dogi na
You will give me some answer to all of these questions, yes?

0 comments:

Post a Comment

 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template