usse apne farda ki fikar thi,wo jo mera waqif.e.haal tha
wo jo uski subha urooj thi,wohi mera waqat.e.zaval tha
mera dard kese wo janta,meri baat kese wo manta
wo to khud fana k safar mai tha,usse rokna b mahal tha
wo jo uss k samne aa gaya,wohi roshni mai naha gaya
ajab uski hebat.e.husn thi,ajab uska rang.e.jamal tha
dam.e.wapsi usse kya hua,na wo roshni,na wo taazgi
wo sitara kese bikhar gaya,wo to ap apni misaal tha
kahan jaoge mjhe chor kar,mai ye puch puch kar thak gaya
wo jawab mjhko na de saka,wo to khud sarapa sawal tha
wo mila to sadiyo’n k bad b,mere lab pe koi gila na tha
usse meri chup ne rula dia,jisse guftagu mai kamal tha
wo jo mjhse mil k tha ro dia,faqat itna hi mjhse keh saka
jisse janta tha mai zindagi mai,wo to sirf weham.o.khayal tha
Friday, 10 January 2014
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment