Friday, 10 January 2014

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena

- Aansoo Shayri -

Meri bohat se uljhi bikhri cheezon mein

♥♥♥
Meri bohat se uljhi bikhri cheezon mein
Mohabbat yahin kahin thi kho gai hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai
khilona hai jo mitti ka fana hone se darta hai
mere dil ke kisi kone mein ek massom sa baccha
badon ki dekhkar duniya bada hone se darta hai
na bus mein zindagi iske na kaboo maut par iska
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai
ajab ye zindagi ki kaid hai, duniya ka har insaan
rihaai mangta hai aur riha hone se darta hai <3

Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena


Ek Diya Dil Mein Jalana Bhi Bujha Bhi Dena,
Yaad Karna Bhi Isse Roz Bhula Bhi Dena,
Kya Kahoon Ye Meri Chahat Hia Ke Nafrat Uski,
Naam Likhna Bhi Mera Likh Ke Mita Bhi Dena,
Phir Na Milne Ko Bichhadti To Hon Tujhse Lekin,
Mud Ke Dekhun To Palatne Ki Dua Bhi Dena,
Khat Bhi Likhna Use Mayoos Bhi Rehna Usse,
Jurm Karna Bhi Magar Khudko Saza Bhi Dena,
Mujhko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Lekin,
Jee Mein Aaye To Ye Deewar Gira Bhi Dena,
Us se mansoob bhi kar lena puraane kissw,
Uske baalon mai naya phool saja bhi dena,
Surat-E-Naqshe Qadam Me Rehna Mohsin,
Apne Hone Se Na Hone Ka Pata Bhi Dena…

0 comments:

Post a Comment

 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template