Friday, 10 January 2014

Bewafa Shayri - December Ab Ke Aao To


December Ab K Aao TO
December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tammana ki khabar laana
ke jismein jugnuon ki kai kehkashaan jhilmilaati hain
jahan titli ke rangon se fazaaein muskuraati hain
wahan chaaron taraf khusbhu wafa ki hai
aur jo usko nazar se choo gaya
pal bher mehek utha
December ab ke aao tou
tum us sheher-e-tammana ki khabar lana
jahan pe rait ke zarrey sitaarey hain
gul-o-bulbul, mehr-o-anjum, wafa ke ista’aarey hain
jahan dil wo samander hai, kai jiske kinaarey hain
jahan qismat ki devi muthiyon mein jagmagati hai
jahan dharkan ki lay per bay-khudi naghma sunati hai
December mat pooch humse hamarey sheher ke baarey
yahan aankhon mein guzrey kaarwan ki
gard thehri hai .. muhabbat barf jaisi hai yahan …
aur dhoop ke khaiton mein ugti hai
yahan jab subha aati hai to .. shub ke
saarey sapney raakh ke dhair ki soorat mein dhaltey hain
yahan jazon ki tooti kirchiyan aankhon mein chubhti hain
yahan dil ke lahu mein apni palkon ko
dabo ker hum sunehrey khuab buntey hain
un khuabon mein jeetay hain
unhi khuabon mein martey hain
dareeda rooh ko lafzon se
seena go nahi mumkin
magar phir bhi
December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tamanna ki khabar laana

0 comments:

Post a Comment

 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template