Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana
Baray Borhay Btatay Thy
Kayi Qissay Sunatay Thy
Magar Hum Mantay Kab Thy
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy
Yeh Baatein Zikr k Qabil
Bhala Gardantay Kab Thy
Ana k Takht Par Baithy
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana k Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon k Jhurmat Mein
Tery Pairoon Ki Payel Mein
Tery Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain
Humein Maloom Hi Kab Tha
Tery Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Tery Hontoon Ki Jumbish Par
Tery Sir k Isharay Par
Sada-e-DilBrana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehrmana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman k Phool Saray
Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain
Zara Se Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain
Humein Kab ILM Tha Jaana
Tery Pekar Se Dhul kar
Chandani Har Soo Bikharti Hay
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi
Kaisy Nikharti Hay
Teri Payel Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay
Teri Awaz Veerany Mein
Kya Jadu Jagati Hay
Tery Naghmay Fiza Mein
KisTarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain
Humein Idraak Hi Kab Tha
Humein Kamil Bharosa Tha
Hamary Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga
Magar....
Magar Phir Yun Huwa Jaana
Na Janay Kiun Huwa Jaana
Bara Afsoon Huwa Jaana
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana
Tery Abroo Ki Ik Jumbish
Se Ghayel Ho Gaye Hum b
Baray Be Multafit Phirtay Thy
Maayel Ho Gaye Hum b
Sakhawat Karnay Aye Thy
Aur Saayel Ho Gaye Hum b
Baray Borhoon Ki In Baaton k
Qaayel Ho Gaye Hum b
K .....
Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana...!!!
No comments:
Post a Comment