Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo’on ki baqa ka din hai
Tang nazron ki baat kya kejiye
Murda zehnon ki baat kya kejiye
In ko pholon se ber hai shayad
Aise kanton ki baat kya kejiye
Aaj dunya k sab bakheron se
Aaj zindan k sab andheron se
Chal zara door ja kar dekhte hain
Sab apne gham bhula kar dekhte hain
Bohat in zulmaton main reh chuke hum
Bohat in silsilon ko seh chuke hum
Ab k zakhmon ko see k dekhte hain
Kaif ka jaam pe k dekhte hain
In bakheron main bohat jee liya hai
Apni khatir bhi jee k dekhte hain
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo’on ki baqa ka din hai
Kitne kache garhe yahan toote
Kitne hi “Ranjhon” k gahr choote
Kitne hi “Qais” rule sehra main
Kitne hi kohkanon k sar phote
Kaye “Zulekhayen” huye hai benaam
Kaye “Yousuf” sar-e-bazaar bike
Iski rahon ki ajab peeta hai
Qalam likhte hue sisakta hai
Kaye “Mansoor” daar per latke
Kaye jazbe hazaar baar bike
Kisi ne taaj mehal banwaya
Kisi ne saltanaten thukradeen
Kisi ne zindagi tabah karli
Kisi ne maut se wafa karli
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo’on ki baqa ka din hai
Rah-e-ulfat ki saari dastanen
Aaj kehti hain roh-e-insaani
Is zamane k tape sehra main
Apne hisse k phool bo k jiyo
Har taraf wehshaten hain, dehshat hai
Har taraf uljhanen hain nafrat hai
Magar is arsa-e-mehshar main logon
Kya zarori hai sabhi ro k jiyo?
Zindagi k haseen bhi rukh hain
In rukhon main nazar simo k jiyo
Kisi ki khushiyun ko mehsoos karo
Kisi ko apna karo kisi k ho k jiyo
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo’on ki baqa ka din hai
Gulaab jazbon k talatum main
Mauj khate hue paani ki tarah
Raqs karti hue hawayen hain
Mehki mehki hue fizayen hain
Saaz ki mast rawani ki tarah
Aawaan-e-shadmaan hawaon ko
Zindagi se bhari adaon ko
Apne ehsaas ko sahara dain
Apne jazbaat ko kinara dain
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Surkh pholon ki baqa ka din hai
Poet : Muhammad Nawaz
0 comments:
Post a Comment