Sun to sahi jahan main hai tera fasana kya
Kehti hai tujh ko khalq-e-Khuda ghaibana kya
Charon taraf se surat-e-janaan ho jalwa gar
Dil saaf ho tera to hai aaina khana kya
Tibl-o-ilm hi pass hai apne na mulk-o-maal
Hum se khilaaf ho k karega zamana kya
Aati hia kis taraf se mere qabz-e-rooh ko
Dekhon to maut dhond rahi hai bahana kya
Yun mudaye hasad se na de daad tu na de
“Aatish” ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya
0 comments:
Post a Comment