Monday, 24 January 2011
Sunday, 23 January 2011
Hum Ko To Gardish-e-Halaat - Sad Urdu Ghazal
Hum ko to gardish-e-Halaat pe rona aaya
Rone wale, tujhay kis baat pe rona aaya
Jee nahi, ap se kya hum ko shikayat hogi
Haan mujhay talkhi-e-halaat pe rona aaya
Kitne betaab the rim jhim main piyenge lakin
Aaye barsaat, to barsaat pe rona aaya
Husn ne apni jafa pe bahaye aanso
Ishq ko apni shikayaat pe rona aaya
Kahiye! Kya mere kisi baat pe rona aaya
Aw’wal aw’wal to ik aah nikal jaati thi
Aakhir aakhir to mulakaat pe rona aaya
“Saif” ye din to qayamat ki tarah guzra hai
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya
Labels:
Ghazal,
Sad Poetry
Saturday, 22 January 2011
Friday, 21 January 2011
Hum Un Se Agar By Ibn-e-Insha
Hum Un Se Agar Mill Baithte Hain Kyaa Dosh Hamara Hota Hai
Kuch Apni Jasarat Hoti Hai Kuch Un Ka Isharaa Hota Hai
Katne Lageen Raten Ankhon Main Dekha Nahin Palkon Pe Aksar
Kabhi Sham-e-Gariibaan Kaa Jugnuu Kabhi Subah Ka Tara Hota Hai
Hum Dil Ko Liye Har Des Phire Is Jins Ka Gahak Mill Na Saka
Ay Banjaaro Hum Loog Chale Hum Ko To Khasara Hota Hai
Hum Apni Zaban Se Kuch Bhi Kahen, Shayar Hain Khayalon Se Khelen
Aa Jao To Baham Mil Baithen Kabhi Hijr Bhi Pyara Hota Hai
Daftar Se Uthe Cafe Main Gaye Kuch Sher Kahe Kuch Cofee Pii
Poocha Jo Mu'ash Ka "Inshaa Jii" Yun Apna Guzara Hota Hai
Labels:
Ibn-e-Insha
Subscribe to:
Posts (Atom)



