Saturday, 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar

Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar
Kassam jis nay khai thi mujhay barbaad karnay ki


Ishq main jeenay marnay ko hum to hain tayyar

Ishq main jeenay marnay ko hum to hain tayyar
Goli maro dunia ko khush reho na yar


Friday, 8 August 2014

Ye kaisi mulaqaat hay main kis khumaar main hon

Ye kaisi mulaqaat hay main kis khumaar main hon
Wo a kay ja chuka hay main intizar main hoon


Sunday, 3 August 2014

Chalo tum chor do hum ko

Chalo tum chor do hum ko magar itna bata do tum
Humay tum piyar karty thy? ya wakt barbaad kartay thay



Mohabbat dill ka sajda hay

Mohabbat dill ka sajda hay jo hay toheed par qaim
Nazar kay shirk walon say mohabbat roth jati hay




Ek ap kay talluq ki khatir

Ek ap kay talluq ki khatir
Dill laa talluq hay sab say


 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template