Sunday, 6 July 2014

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya
Hum nay bhi tu duaon main us k sab dard mangay thay


Me tujh ko jaagti ankhon say

Me tujh ko jaagti ankhon say cho sakon na kabhi
Meri anna ka bharam rakh lay meray khuab may aa


Bas aik maafi, hamari toba

Bas aik maafi, hamari toba, kbhi jo ab hum satain tum ko
Lo hath joray, lo kaan pakray ab or kaisay manain tum ko



Friday, 4 July 2014

Tappash hay ye apnay gunnahon ki yaroo

Tappash hay ye apnay gunnahon ki yaroo
Meray shahar ka muasam khushgawar nahi hota
Din bhar kar kay naffratain insaan say
Kahtay hain raazi PARWARDIGAAR nahi hota



Chor kay ja rehe ho

Chor kay ja rehe ho or kahtay ho qayammat ko milain gain
Goyya ess din kay baad qayammat koi our bhi hay


Mujhay maar hi na dalay en badlon ki sazish

Mujhay maar hi na dalay en badlon ki sazish
Ye jab say barras rahay hain tum yaad a rehay ho


Thursday, 3 July 2014

US kay darr pay sukoon milta hay

US kay darr pay sukoon milta hay
US ki ebaddat say noor milta hay
Jo jhuk gaya ALLAH kay sajday main
Usay dill ka sukoon zaror milta hay


 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template