Sunday, 5 January 2014

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun,

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn,

Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do,

K Wapis Kiss Taraf Joun
Kahan Se Sath Laye The.

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,

To Mujh Ko Is Tarha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,

Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass hi Mar Joun.

Cigrette Aur Tumhari Yaadein

Mein Cigrette Ko Hatheli Par
Ulat Kar Khali Karta Hoon

Phir Us Mein Daal Kr Yaadein
Tumhari Khoob Malta Hoon

Zara Sa Gham Milata Hoon
Hatheli Ko Ghumata Hoon

Basa Kr Tujh Ko Saanson Mein
Mein Phir Cigrette Banata Hoon

Lga Kr Apne Honton Se
Mohabbat Se Jalata Hoon

Tuje Sulgaa Ke Cigrette Mein
Mein Tere Kash Lagata Hoon

Dhuan Jab Mere Honton Se
Nikal Kar Raqs Krta Hai

Mere Chaaron Taraf Kamre Mein
Tera Aks Banta Hai

Main Us Se Baat Karta Hoon
Wo Mujh Se Baat Karta Hai

Yeh Lamha Baat Karne Ka Bada
Anmol Hota Hai

Teri Yaden Teri Batain
Bada Mahol Hota Hai...!!!!

Hawa Thami Thi Zaroor Lekin

Hawa thami thi zarur lekin,

Wo shaam jesay sisak rhi thi,

K zard patton ko aandhiyon ne,

Ajeeb Qisa suna diya tha,

K jis ko sun kr tamam patay,

Sisak rahy thay Bilak rahy thay,

Janay kis k, alam me sary,

Shajar jarroon se ukher chuky thay,

Boht tlasha tha hum ne tumko,

Har aik rasta Har aik waadi,

Har aik parbat

Har aik ghaati,

Mgr kahin se khbar na aie,

Ye keh k hum ne b dil ko tala,

Hawa thamay gi to dekh len gay,

Hum uskay rasto ko dhond lay gen,

Mgr hamari ye khush khiyaali,

Jo hum ko barbaad kar gai thi,

Hawa thami thi zaror Lekin,

Bari hi mudat guzar chuki thi,

Hmare Baloon k jangloon main,

Sufaid chandi utar chuki thi,

Falak pe taare nahi rahay thay,

Khwaab pyare nahi rahay thay,

Wo jin se basti thi Dil ki basti,

Wo log sare nahi rahay thay,

Magar ye Al'miyaa sab se bala'tar tha,

K tum humaray nahi rahay thay,

K hum tumhare nhi rahay thay,

Hawa thami thi zarur Lekin,

Bari hi mudat guzr chuki thi.

Tumhara Khat Mila Jana

Tumhara khat mila Jana!

Wo jis mein tum ne poocha hai,

K ab haalaat kaise hain?

Mere din raat kaise hain?

Mehrbani tumhari hai!

K tum ne is tarah mujh se,

Mere haalaat pooche hain,

Mere din raat pooche hain,

Tumhein sb kuch bta doon ga,

Mujhe itna bta do k.

Kabhi Sagar kinare pr,

Kisi Machhli ko dekha hai?

K jis ko lehrein paani ki,

Kinare tk to lati hain,

Magr phir chorr jati hain,

Mere haalaat aise hain,

Mere din raat aise hain…

Wo Shakhs Aik Sham Main Kitna Badal Gya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Wo shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaii'ne pe naqsh
Phir yun huaa, ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
To kyaa hua jo ham se zammana badal gaya

Qadmon talay jo reit bichhi thi wo chal pari
Us ne churaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaate hi ek shakhs ke, kya kya badal gaya

Ik sarkhashi ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz sara ka sara badal gaya

Uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyaan
Pardaa uthaa to saara tamasha badal gayaa

Hairat se saare lafz usey dekhte rahe
Baaton mein apni baat ko kaisa badal gaya

Kehne ko ek sehn mein deevaar hi bani
Is ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gaya

Shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha wo
Manzil kay paas aa ke jo rasta badal gaya

Qaayem kisi bhi haal pe duniya nahin rahi
Aitabaar kho gayi kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asl mein saaya tha rang ka
Jis ne use jidhar say bhi dekha, badal gaya

Andar ke mausmoun ki khabar us ko ho gayi
Us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

Aankhon mein jitne ashk the jugnu se ban gaye
Wo muskuraya aur meri duniya badal gaya

Apni galii mein apna hi ghar dhundte hain log
Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gaya!

Wo Ek Insan Jo Soya He Nhi Barson Sy Raaton ko...

Wo Ek Insan Jo Soya He Nhi Barson Sy Raaton ko...

Agar Uski Waja Tum ho?
To kia Zalim Nhi Ho Tum? ?

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay,

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay,

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko
Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay ,

Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon Ko
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay,

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay,

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay,

Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar Tujhko
Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay,

Jab Teray Dard mein Dil Dukhta Tha
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay,

Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay,

Apnay Jazboon Ki Kamandon Say Tujey
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay,

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay,

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay,

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay
Hum Sukh'noor Bhi Howa Kartey
 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template