Wednesday, 2 February 2011

Ay Dil-e-Betaab Tehar By Faiz Ahmed Faiz


Ay Dil-e-Betaab Tehar

Teergi hai k umandti hi chali aati hai
Shab ki rag tag se lahoo photo raha ho jese
Chal rahi hai k kuch is andaaz se nabz-e-hasti
Dono aalam ka nasha toot raha ho jese
Raat ka garam lahuu or bhi beh jaane do
Yehi tareeki to hai ghaza-e-rukhsaar-e-sehar
Subha hone hi ko hai ay dil-e-betaab tehar
Abhi zanjeer jhanakti hai pas-e-parda saaz
Mutlaq ulhukum hai shiraza-e-asbaab abhi
Sagar-e-naab main aanso bhi dhalak jaate hain
Laghzish-e-paa main hai pabandi-e-aadaab abhi
Apne diwanon ko diwana to ban lene do
Apne mekhanon ko mekhana to ban lene do
Jald ye satoot asbaab bhi uth jaye gi
Ye giranbaazi-e-aadaab bhi uth jaye gi
Khuah zanjeer chanakti hi, chanakti hi rahe

Idher Dua Ki Samanton - Ghazal By Dr. Faryaad Aazar


Idher dua ki sama’aton ka riwayati asmaan bhi chup
Idher sisakte hue labon ka barhana, tarz-e-bayaan bhi chup

Na jaane kin khuwahishon ki shiddat ka shor kamre main gonjta tha
Na jaane kya keh gaye hawa, hogaya khali makaan bhi chup

Naye ruton ne hawa ki ru se na jaane kya saaz baaz karli
K sabz sadiyun se goonjti arahi nida-e-azaan bhi chup

Kahin koi sar phiri nida parda samaat bhi noch dale
Magar kahin dasht-e-samaat se ehtajaji zubaan bhi chup

Pukarta tha panah le le koi bhi saye main mere “Aazar”
Thi dhoop aise hamare sar pe k hogaya sayebaan bhi chup

Para Tha Likhna Mujhay By Dr. Faryaad Aazar


Para tha likhna Mujhay Khud Hi “Marsia mera”
K mere baad bhala or kon tha mera

Ajeeb tour ki mujh ko saza sunaaye gaye
Badan k naize pe sar rakh dya gaya mera

Yehi k saans bhi lene na degi ab mujh ko
Ziada or bigare gi kya hawa mera

Main apni rooh lye darbar bhataka raha
Badan se door mukammal wajood tha mera

Mere safar ko to sadiyan guzar gayen lakin
Falak pe ab bhi hai qayam nishaan-e-Paa mera

Bas aik baar mila tha mujhay kahin “Aazar”
Bana gaya wo mujhi ko mujassama mera

Tuesday, 1 February 2011

Short Urdu Sms Sher

Urdu Sms Ashaar

Halaat-e-Ishq Se Gir Pare Zameen Pe Aa Kar
Hum Rashk-e-Asmaan The Abhi Kal Ki Baat hai

Yeh lehja Yeh Aadawat, Ye Tarz-e-Muhabbat Tumhari
Samjh Paaon To Bikhar Jaon, Na Samjhon To Ulajh Jaon

Udaas Kar Gaya Pehle Hi January Ab K
Wo Saal-e-Nau Pe Mila Bhi To Sarsari Ab K

Her Sitam'gar Ko Yeh Humdard Samajh Layti Hai,
Kitni Khush Feham Hai Kam'bakht Jawaani Apni

Hamari Tarah Koi Dosra By Dr.Peerzada Qasim

Dr.Peerzada Qasim
Vice Chancellor of University Of Karachi

Hamari tarah koi dusra hua bhi nahi
Wo dard dil main rakha hai jo ladawa bhi nahi

Ussi ko dekhti rehti hain chashm-e-shokh madam
Jo gham abhi sar-e-shakh-e-alam khila bhi nahi

Hamara dard ajab marhale main hai k jahan
Wo besukhan bhi nahi, or lab kusha bhi nahi

Junoon-e-ishq ya zanjeer-e-gham samhale rakh
Jo ye nahi, to aaghaz-e-aashna bhi nahi

Ibadaton Ki Tarah - Dr Basheer Badar


Ibadaton ki tarah, main ye kaam karta hon
Mera asool hai, pehle salam karta hon

Mukhalfat se mere shaksiyat sanwarti hai
Main dushmanon ka bara ehtaraam karta hon

Main dar gaya hon bohat saya daar peron se
Zara si dhoop bicha kar qayam karta hon

Mujhay Khuda ne ghazal ka diyaar bakhsha hai
Ye saltanat main muhabbat k naam karta hon

Dariya Se Ikhtelaaf Ka Anjaam - Dr Basheer Badar



Dariya se ikhtelaaf ka anjaam soch lo,
Lehron k sath sath baho tum nashe main ho

Kya doston ne tum ko pilaye hai raat bhar
Ab dushmanon k sath raho tum nashe main ho

Be had shareef logon se kuch fasla rakho
Pee lo, magar kabhi na kaho tum nashe main ho

Kaghaz ka ye libaas, chiraghon k shehar main
Janan! Samhal samhal k chalo tum nashe main ho

Masoom titliyun ko masalne ka shok hai
Toba karo, Khuda se daro, tum nashe main ho
 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template