Monday, 30 November 2015

Bholnay Waley

bholnay wale ne ye bhi na socha hoga 
Ek do din nahin barson ki shnasai hai 

To Mere Dil Pe Hath To Rakh

To mere dil pe hath to rakh 
Main tere hath pe dil na rakh doon to kehna 

Saqi

Etna hanso keh ankh se anso nikal parein 
Apni khushi kay sath mera gham nba do 

Zindagi

Zindagi kab ki khamosh ho gayi 
Dil to bas adat'tan darkta hai 

Gi Chahta Hai

Ji chahta hai usay muft main dil de doon
Itnay masoom kharedar se kiya lena dena

Mohabbat Karna Chahtay Ho

Mere alwa kesi aur se mohabbat karna chahtay ho 
To saf saf kaho na mere hathon se marna chahtay ho 

Waqat

Waqt anay par log sath kam 
Aur mashwary zayda detay hain 

Neyat Kharab Hai

Hota nahin ayaan kabhi unkay mezaj se 
Neyat kharab hai kay tabeyaat kharab hai 

Aur Tum Kehti Ho

Mujh se bar ke kis ne jana hai tumhein 
Aur tum kehti ho na mahram hun main

Zindagi Ek Bar Milti Hai

Zindagi ek bar milti hai sara sr ghalt taswar hai 
Zindagi to hur roz melti ha dar asal mout sirf ek bar melti ha

Main Fana Ho Gya

Main fana ho gya wo badla phr bhi nahin 
!,,,Faraz,,,!
Meri chahat se bhi sachi thi nafrat us ki 

Etnay Masroof Ho Gaye Ho Tum

Etnay masroof ho gaye ho tum 
Dil dukhany bhi ab nahin atay 

Mar-E- Ishq

Allah bachaye marz-e-ishq se dil ko 
Suntay hain k yeh arzah acha nahin hota 

Hum aah bhi karein to ho jatay hain badnaam
Wo qatal bhi kar dein to charcha nahin hota 

Tum Haqeeqat Ho

Tum haqeeqat ho ya fareeb meri ankhon ka 
Na dil se nikltay ho na zindagi main aty ho 

Bewafa

Tum se hi thi meri zindagi lakin ye kiya howa 
Tum bin bhi main ji rahi hun main kesi hun be wafa

Meri Talb Tha Ek Shakhs

Meri talb tha ek shakhs jo wo nahin mila to phir 
Dua hath youn ghiray kay bhol gya sowal bhi 

Aakhri Mohabbat

Dastaan khatm honay wali hai 
Tum meri akhri mohabbat ho 

Rah Main Beth Howa Hun

Rah main betha howa hun tum sangh rah sumjho mujhy 
Admi ban jaon ga kuch thokrein khanay k bad

Sunday, 29 November 2015

Atbar Ki Adat

Phir us ki hur ada se chalknay laga khalos
Jab mujh ko atbar ki adat nahin rahi 

Youn To Gham Sab Ki Zindagi Main Hai

Youn to gham sab ki zindagi main hai 
Sabt lekn kesi kesi main hai 

Us ne sun kar ghazal kaha meri 
Ketna dukh teri shayari main hai 

Mohabbat Ka Na Sochey

Usey keh do key wo kesi aur se mohabbat ka na sochey 
Maiin ek hi kafi hun usey umar bhar chahney keh liye

Shehar Ki Veraan Ghaliyaan

Chal tujhe dekha doun apne shehar ki veraan ghaliyaan 
Shayd ke kch tujhy ehsas ho meri tanhai ka 

Bekhray Hain Hum

Sokhay patoon ki tarah bekhray hain hum to 
Kesi nay sameeta bhi to sirf jalany kay liye

Bas Teri Kami Hai

Usay mere janazy ki khabar na dena ye meri mohabbat ki toheen ho gi 
Keh wo pedal safar karay aur main logoon k kandoon peh safar kron 

Mujhe Zindagi Ki Dua Na Day

Mujhay zindagi ki dua na day 
Meri zindagi se bani nahin 

Koi zindagi pay karay yaqeen 
Mujhay zindagi pay yaqeen nahin 

Ab Kis Ka Etbar Karon

Ab kis ka atbar karon is dunya main 
Anso hi apni ankh ka jab apna na howa

Tum Aao Tumhari Nazar Utarein Hum

Tum aao tumhari nazar utarein hum 
Khud ko phenk dein tere sar se war kay 

Andheri Raat

Andheri raat hai saya to ho nahin sakta 
Ye kon hai jo mere sath sath chalta hai 

Puray Chand Ki Raat

Kabhi youn bhi to ho 
Darya ka sahil ho 

Puray chand ki raat ho 
Aur tum Aao

Pyaar

Is dunya main wafa karnay walon ki kami nahin hai 
Bas pyaar hi us se ho jata hai jisay qadar na ho

Kon Kehta Hai

Kon kehta hai insan apni qismat khud lekhta hai 
Agr ye sach hai to qismat main dard kon lekhta hai 

Jab So Jati Hai Sari Dunya

Jab so jati hai sari dunya
Chupkay se aa kar chand 

Khara ho jata hai 
Meri khari kay samne

Aur muskura kar kehta hai 
Khoj lo mujhi  main wo chehra 
Jis ki talash main ho tum 

Mujhay Apni Haar Main

Mujhay apni haar main ketna sakon tha 
Us nay ghaly lgaya jetnay kay bad

Ajazat

Tumhara naam lekhnay ki ajazat chen gayi jab se 
Koi bhi lafz lekhta hun to ankhein bhegh jati hain 

Hazaron mosmon ki hukmrani hai mere dil par 
Wasi maiin jab bhi tanha hun to ankhein bhegh jati hain 

Mohabbat

Mohabbat ho chuki puri 
Chalo ab zakham ghentay hain 

Mohabbat Ka Hawalaah

Bohat hara howa sa wajod laghta hai apna 
Hur kesi nay lota hai mohabbat ka howalah day kar 

Saturday, 28 November 2015

Mohsan

Ulja rahi hai mujh ko younhi kashmkash musalsal mohsan 
Wo absaa hai mujh main ya main us main kho gya hun 

Apne honton Pay Sajana CHahta Hun

Apne hontoon pay sajana chahta hun 
Aa tujhy main gunghunana chahta hun 

Koi anso tere daman par ghira kay 
Bond ko moti bnana chahta hun 

Thak gya main yad kartay kartay tujh ko 
Ab tujhay main yad ana chahta hun 

Akhri hichki tere zano pay aye 
Mot bhi main shayarana chahta hun 

Chaa raha hai sari basti main andhera 
Roshni ko ghar jalana chahta hun 

Chalo Ek Bar Phr Se Ajnabi Ban Jayein

Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 
Na main tum se koi umeed rakhon dilnowazi ki 

Na tum meri tarf dekho ghalt andaz nazron se 
Na mere dil ki darkan larkhraye meri baton main 

Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazroon se 
Tumhein bhi koi uljan rokti hai pesh qadmi se 

Mujhy bhi log kehtay hain k ye jalway puraye hain 
Mere humrah bhi roswayan hain mere mazi ki 

Tumharay sath bhi ghuzri hoi ratoon ki saye hain 
Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 

Allama Iqbal

Nasha pila kar ghirana to sab ko ata hai 
Mazah to jab hai keh ghirton ko thap lay saqi

Jo bada kash thay parany wo uthaty jatay hain 
Kahin se aab e bqaye dowam lay saqi

Kati hai raat hanghamah kastri main tari 
Sehar qareeb hai Allah ka naam lay saqi

Ankhon Se Parhi Jati Hai

Ankhon se parhi jati hai haya ki kahani 
Naqab dal kar koi parsa nahin howa

Tumhari Berukhi

Tumhari berukhi par bhi ulta di zindagi hum nay 
Agr tum meharbaan hotay to apna haal kiya hota 

Sochta Hun Ab


Sochta hun ab khud par hi laga doun alzam
Dil manta hi nahin tum bewafa thay 

Kanch Ka Jism

Kanch ka jism liye shehar main phernay walay 
Dashte halaat main pathar nahin dekha to nay 

Ay mujhay sabar kay adab sekhanay waly 
Jab wo bechra tha wo manzar nahin dekha to nay

Baba Bullay Shah Ki Shayari

Par par ktabaan elam diyaan toun naam rakh liya qazi
Hath wech phar kay talwar naam rakh liya ghazi

Makkay madenay ghom aya te naam rakh liya haji 
Ohh bulliya hasl ki keta jay tun Rab na keta razi

Marnay Ko Ji Chahy

Zindagi etni dukhi nahin kay marnay ko g chahy
Bas apnon nay etnay dukh diye kay jenay ko dil nahi karta 

Humdardi

Humdardi ahbab se darta hun lakin 
Main zakham to rakhta hun nmaish nahi karta

Pyaar

Mere pyar ko sumjhnay kay liye bas etna hi kafi hai 
Main us ka harghaz nahin hota jo hur kesi ka ho jaye 

Rang Mohabbat Kay

Meri tasveer banana to sab rang bharna mohabbat kay 
Lekn jab ankhein banana to anso rawaan rakhna

Band Ankhein Then

Band akhein thein kesi ki yad main 
Mout ai aur dokha kha gayi 
 
Bandhan - Pyara Sa Rishta Blogger Template by Ipietoon Blogger Template