Pages

Sunday, 22 April 2012

Mirza Ghalib Poetry


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

Mirza Ghalib Poetry

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)

sitara hamari kismat



sitara hamari kismat ka us say mila hi nahi
wo kese hota hamara
aisa kabi hva hi nahi
hmne apni hr khushi dusron me bant di
ksi ne hme kya dya
ye kbi socha hi nhi
bato baton m mhbt is qadar brh gyi
use ab bhool jaen kese itna hosla hi nhi
hr ksi ne hume matlab tak pyar kya
koi hamsafar ban kar sath chala hi nhi
hr koi mri chahat ko mazaq smjta rha
dil m he dard ktna koi smja hi nhi

See latest poetry sms and Ghazal SMS

Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye

Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye,
Har koi rota nahi Aansu bahane k liye,
Ruthne ka mazaa to tab aata hai,
Jab koi apna ho manane k liye.

See more relates sms  to  Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye

Khaali jaam liye baithe ho

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

“Mujhe Tum Se Mohabbat hai”

Wo keh gaya hai “Mujhe Tum Se Mohabbat hai”
Ussay kiya maloom ye lafzon main adda nahi hot

 see more Latest urdu Ghazal SMS

Saturday, 14 April 2012

Decent Urdu Poetry For SMS


Mein usay kaise akela chhor dun is raah mein
Saath jo chalta raha majboriyon k baad bhi
Ban k khushbo rach gaya hai yun mere ehsas mein
Door ho paya nahi wo dooriyon k baad bhi
Rafta Rafta us ko bhi ye duniya raas aa gai
Muskura k wo mila hai ranjishon k baad bhi
Fasilay kab kam hoay hain Raabtoun k baad bhi
Ajnabi thy ajnabi hain Mohabtoun k baad bhi

TUM MOHABBAT BHI





Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..